aye khatm-e-rusool makki madani - English Naat-Khwaan: Hafiz Uzair Akhtari aye khatm-e-rusool makki madani kaunain mein tumsa koi nahin aye noor-e-mujassam tujh jaisa mahboob khuda ka koi nahin ausaaf to sab ne paaye hein par husn mein tumsa koi nahin aadam se janaab-e-isa tak sarkaar ke jaisa koi nahin tu hai KHurshiid -e-risaalat pyaare ! chhup gaye hein teri wila mein taare ambiyaa aur hein sab maah-paare tujh se hi noor liya karte hein ausaaf to sab ne paaye hein par husn mein tumsa koi nahin ho jaaye agar ek chashm-e-karam mahshar mein hamari laaj rahe aye shaafa-e-mahshar tere siwa bakhshish ka sila koi nahin khairaat muhammad se pa kar kis shaan se kehte hein mangte dukhiyon pe karam karne waale sarkar ke jaisa koi nahin aye khatm-e-rusool makki madani kaunain mein tumsa koi nahin aye noor-e-mujassam tujh jaisa mahbuub khudaa ka koi nahin Naat-Khwaan: Sibtain Haidar taazim se leta hai khuda ...